JAANE TERE SHEHAR Lyrics - Jazbaa

Jaane Tere Shehar - Jazbaa

Singer: Vipin Anneja
Song Writer / Music: Arko
Video Features: Irrfan Khan & Aishwarya Rai Bachchan
© 2015 Zee Music Company

Jaane Tere Shehar Lyrics

Jaane tere shehar ka kya iraada hai
Aasmaan kam.. parindey zyada hai
O.. Jaane tere shehar ka kya iraada hai

Khushi ka hissa
Gham ka hissa
Ghoont ka hissa
Dam ka hissa
Zakhm aur marham ka hissa
Dil farosi ka ye qissa

Jaane tera ishq bhi
Kya tamasha hai
Raat ko mulzim
Din mein Khuda saa hai

Jaane tere shehar ka kya iraada hai

Jaane hum pe kaunsi aisi tohmat hai
Samajh na payein aib hai ya ye aadat hai
Malmal mein lipte hain
Phir bhi bikhre hain
Bas ye zaam hamara hai hum iske hain

Yun toh mera dard hi ik dawa saa hai
Yun toh mera dard hi ik dawa saa hai
Har ghadi zinda..
Har din naya saa hai

Jaane tere shehar ka kya iraada hai