Badalne Ke Intezaar Mein (Acoustic) Lyrics - Sanam Puri

Sanam - Badalne Ke Intezaar Mein (acoustic)

Badalne Ke Intezaar Mein (Acoustic) Lyrics - Sanam: The song is about change performed and written by Sanam Puri and composed by Sanam Puri & Samar Puri.

Singer/Writer: Sanam Puri
Music: Sanam Puri & Samar Puri
© 2015 Zee Music Company

Badalne Ke Intezaar Mein Lyrics

Samandar mein patthar gumshum hai padaa
Sapno ki duniya mein chup hai khada
Dekhte hi dekhte sooraj doob raha
Agar kuch badla nahi to andhera saamne hai khadaa

Uljhi hui hain waqt ki parchhaiyaan
Yeh poora daur hai badalne ke intezaar mein
Badalne ke intezaar mein

Har din sawaal uthte hain kai
Par jawaab kisi ke paas nahi
Kya hai ghalat kya hai sahi
Samjha kya koi aankhein khole abhi

Uljhi hui hain waqt ki parchhaiyaan
Yeh poora daur hai badalne ke intezaar mein
Badalne ke intezaar mein

O...