JANAAB LYRICS - Farhad Bhiwandiwala & Vinti Singh

Janaab Lyrics - Farhad Bhiwandiwala & Vinti Singh

Janaab Lyrics song sung by Farhad Bhiwandiwala & Vinti Singh ft. Shivani Joshi & Ashrut Jain. The song is composed by Paresh Shah while lyrics are written by Ashrut Abhinandan Jain.

Singer: Farhad Bhiwandiwala & Vinti Singh
Song Writer: Ashrut Abhinandan Jain
Music: Paresh Shah
Video Features: Shivani Joshi & Ashrut Jain
© 2015 Zee Music Company

Janaab Lyrics

Aa...
Suno janaab mere mehboob
Tere ishq ka kalma
Main padhun mere janaab
Dil janiya
Dil janiya re
Dil janiya re

Khushnuma yaara khushnuma
Mera rehnuma hai re tu (x2)

Shabnami tu, mehjabin tu

Dil ye gulzar sa
Pehli baar sa
Ye khumaar aaj kyun hai (x2)

Mera noor tu, mera ark tu
Meri zidd bhi hai bas tu

Dil ye gulzar sa
Pehli baar sa
Ye khumaar aaj kyun hai

Dekhiye janaab
Dekhiye janaab
Dekhiye janaab aashiq to hum hain
Hum aashiqi har lamhe mein
Farma bhi sakte hain
Lekin bina deedaar ke
Woh lamha bhi kya lamha hai

Mehjabi tu, khwaab si tu
Ya koi neemat hai tu
Ya koi noor, ya koi shabnam
Ya ek inaayat hai tu

Dil ye gulzar sa
Pehli baar sa
Ye khumaar aaj kyun hai (x2)

Dekhiye janaab
Dekhiye janaab
Dekhiye janaab tumhari adayein
Inn adaaon pe hi marr mite
Aur aahein bharte hain
Lekin labon se apne pucho
Hamara dil gustakh kyu hai

Mehjabi tu, khwaab si tu
Ya koi nimat hai tu
Ya koi noor, ya koi shabnam
Meri ibaadat hai tu

Dil ye gulzar sa
Pehli baar sa
Ye khumaar aaj kyun hai (x2)