Kuch Dino Se Ek Junoon Hai Bakhuda Lyrics - Ishq Ne Krazy Kiya Re

Kuch Dino Se Ek Junoon Hai Bakhuda - Singer

Singer: Amitabh Narayan
Song Writer: Sameer Anjaan
Music: Lalit Pandit
© 2015 T-series

Kuch Dino Se Ek Junoon Hai Bakhuda Lyrics

Jahan ishq hai...
Uss dar pe hai meri zindagi ka nishaan
Kehne lagi..
Meri chahtein rehta hai dilbar jahan, dil wahan..

Kuch din se ik junoon hai bakhuda
Ek pal bhi na sukoon hai bakhuda
Honthon pe raat din hai ye duaa
Manzil ko dhoondh lega raasta

Aankhon pe mere chhaya hai ummedon ka jahaan
Ab uddke main chala chhune chala khawabon ka aasman
Dil befiqra jeene chala ab aayega maza
Wo.. mere pichhe hoga zamana
Wo.. gaaunga aisa tarana
Wo.. mere pichhe hoga zamana
Wo..

Kaise main kar doon ye qissa bayaan
Koi na samjhega dil ki zubaan
Dhadhkan dhadkan gaane lagi hai
Nagma mohabbat bhara
Toote naa ye silsila

Aankhon pe mere chhaya hai ummedon ka jahaan
Ab uddke main chala chhune chala khawabon ka aasman
Dil befiqra jeene chala ab aayega maza
Wo.. mere pichhe hoga zamana
Wo.. gaaunga aisa tarana
Wo.. mere pichhe hoga zamana
Wo..

Chahat ka jaadu toh chal jaata hai
Ye aks saanson mein dhal jaata hai
Ehsaan mein jo ghul gaya hai
Wo hai tazurba naya
Jispe hua main fidaa

Aankhon pe mere chhaya hai ummedon ka jahan
Ab uddke main chala chhune chala khawabon ka aasmaan
Dil befiqra ab jeene chala ab aayega maza
Wo...