Maa Lyrics - Sana Zulfiqar | Walnut Sessions

Maa - Sana Zulfiqar

Singer / Song Writer: Sana Zulfiqar
Guitar: Amir Ajmal
Keyboards: Rufus Shahzad
Bass: Farhan Ali
Flute: Waqas Ali
© 2015 Walnut Studios

Maa Lyrics

Aa...

Rootha rootha jag saara
Toota toota ik taara
Chhuta chhuta aankh se
Rota rota khawab tera
Jaane kahan kho gaya
Hathon se mere wo sitara

Kehte kyun..
Kehte kyun..
Khwaab saare mujhse
Meri dikhun na main
Kehke inko apne

Toota toota wo bechara
Rota rota din saara
Khoya khoya sa kehta hai
Ye mujhse hui thi kya khata, aa...

Baandhi dor maine
Taaron sang main khelun
Jhula mera chanda
Odhun aasmaan ko

Dekhun tera chehra main
Hawaa sang mein jhoomun (x2)

Sang sang ho jab tum mere
Duniya se ho jaye kinara
Tere aanchal mein chhupun
Godh main teri main so jaaun
Saath hai jab tu mere
Duniya se koi na gila
Maa tu thaam le hath mera
Bhool jaunga dar hota kya
Bhool jaunga dar hota kya
Bhool jaunga dar hota kya